nazar nazar se milana koi mazaq nahin mila ke aankh churana koi mazaq nahin pahad kat to sakta hai tesha-e-farhad pahad sar pe uthana koi mazaq nahin udanen bharte rahen lakh tairan-e-khayal sitare tod ke lana koi mazaq nahin lahu lahu hai jigar dagh dagh hai sina ye do dilon ka fasana koi mazaq nahin hawaen aaj bhi aawara o pareshan hain mahak gulon ki udana koi mazaq nahin hazaron karwaten lete hain aasman o zamin gire huon ko uthana koi mazaq nahin ye aur baat bulaen na apni mahfil mein magar 'ziya' ko bhulana koi mazaq nahin