rag-e-ehsas mein nashtar tuta hath se chhut ke saghar tuta tutna tha dil-e-nazuk ko na puchh kab kahan kis liye kyun-kar tuta sina dharti ka laraz uttha hai aasman se koi akhtar tuta jhuk gaya pa-e-butan par lekin pattharon se na mera sar tuta sakht-jaani meri tauba tauba qatl karte the ki khanjar tuta ashk palkon se gira yun jaise khushk tahni se gul-e-tar tuta ai 'ziya' ho ke riha zindan se udne paya bhi na tha par tuta