nazar nazar se wo kaliyan khila khila bhi gaya

nazar nazar se wo kaliyan khila khila bhi gaya
gul-e-murad ko qadmon mein raundta bhi gaya

buland shakh ke gul ki tarah na hath aaya
wo rifaton pe raha apni chhab dikha bhi gaya

mujhe nawed-e-judai sunane aaya tha
juda hua to meri samt dekhta bhi gaya

wo zakhm zakhm pe marham lagane aaya tha
ada-e-bakhiya-gari se unhen dikha bhi gaya

wo mera shola-jabin mauja-e-hawa ki tarah
diye jala bhi gaya aur diye bujha bhi gaya

wo kam-nigah tha kam-zarf to na tha ki mujhe
pyala de bhi gaya tishnagi badha bhi gaya

sukhan ke aainon mein dekh dekh apne nuqush
jhijak jhijak bhi gaya aur jhumta bhi gaya

meri hi tarah tha wo bhi junun ki zad mein magar
mujhe sambhaal ke khud ko sambhaalta bhi gaya

wo jis ka daman-e-shaffaf ab bhi hai be-dagh
wufur-e-shauq mein mujh ko gale laga bhi gaya

us ek nazare mein the kitne didani pahlu
wo mere haal pe roya bhi muskura bhi gaya

gham-e-widaa mein pinhan tha aur bhi ek gham
ki dil se shauq-e-mulaqat-e-barha bhi gaya

firaq-e-yusuf-e-gum-gashta kam na tha sadiq
ki mere hath se kanan-e-quetta bhi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close