rashk-e-mahtab jahan-tab tha har qarya-e-jaan jab bhi dil par chamak utthe tere qadmon ke nishan kaun guzra hai mahak ban ke dayar-e-dil se itni gul-posh thin kab shahr-e-talab ki galiyan teri taswir ke partaw nahin mitne pate ek muddat se hai dil kargah-e-shisha-garan aaj us mod pe hai shahr-e-tamanna aabaad tera daman nigah-e-shauq ne chuma tha jahan main tere dard ki kulfat ko kahan le aaya mere hamrah dhadakta hai dil-e-kaun-o-makan itni maddham to nahin hai meri fariyaad ki lai in salasil ki sada gunjegi zindan zindan waqt aaega ki dohraenge khud ahl-e-jafa main ne jo git sunae hain sar-e-nok-e-sinan mauj-dar-mauj ubharte hain tamanna ke sarab meri tishna-dahni mein hain samundar pinhan main wo ashkon ka bhikari hun sar-e-rah-e-wafa jis ki thokar mein raha marhala-e-sud-o-ziyan main wo saudai-e-gul hun ki meri aankhon ne sina-e-ghaar mein dekhi hain machalti kaliyan gham ke lamhon ka tayyun kabhi socha to 'nasim' ek ek pal se mujhe jhank rahi thin sadiyan