nazar nichi hai yar-e-khush-nazar ki karamat hai ye meri chashm-e-tar ki mubarak tujh ko ai sarw-e-khiraman jawani dhup jaise dopahar ki usi ko lutf aaya zindagi ka junun mein zindagi jis ne basar ki yahan parwaz ke aadab sikho asiri tarbiyat hai baal-o-par ki safar katta hai akasr be-khudi mein adaen yaad hain ek ham-safar ki khusha ai soz-e-gham teri badaulat duaon par inayat hai asar ki wo khush hain 'wajd' arz-e-haal kar le yahan fursat nahin arz-e-hunar ki