hum pe jaur-o-sitam ke kya mani tark-e-rahm-o-karam ke kya mani aish-o-ishrat se gham ke kya mani farbahi hai diram ke kya mani raat furqat ki kis ko kahte hain roz-e-hijr-e-sanam ke kya mani gar nahin us ka saghar-e-mai-nab kahiye phir jam-e-jam ke kya mani pujna but ka hai ye kya mazmun aur tawaf-e-haram ke kya mani kucha-e-gul-rukhan ko kahte hain aur bagh-e-iram ke kya mani yunhi wada karo yaqin ho jae kyun qasam lun qasam ke kya mani majra chashm-e-nam ka tu samjhe lekin abr-o-karam ke kya mani bose wade se kam nahin manzur dam na do hum ko dam ke kya mani ek do tin chaar panch chhe sat yunhi gin lenge kam ke kya mani ai 'sakhi' yar ne dikhai kamar shab jo puchha adam ke kya mani