nazar se guftugu khamosh lab tumhaari tarah ghazal ne sikhe hain andaz sab tumhaari tarah jo pyas tez ho to ret bhi hai chadar-e-ab dikhai dur se dete hain sab tumhaari tarah bula raha hai zamana magar tarasta hun koi pukare mujhe be-sabab tumhaari tarah hawa ki tarah main be-tab hun ki shakh-e-gulab lahakti hai meri aahat pe ab tumhaari tarah misal-e-waqt mein taswir-e-subh-o-sham hun ab mere wajud pe chhai hai shab tumhaari tarah sunate hain mujhe khwabon ki dastan aksar kahaniyon ke pur-asrar lab tumhaari tarah