nazar shaista-e-gham ho rahi hai magar pahchan apni kho rahi hai firaq-e-dost ki ye aakhiri shab na jaane kab ki ninden so rahi hai jise gustakh ho jaana rawa tha wo aankh ab tak qasida-go rahi hai badi jokhim hai thoda fasla bhi masafat jaan-ba-jaan tai ho rahi hai ye sara tajziya ye bahs-o-takrar hawas pushtare kya kya dho rahi hai yahan se uth ke jaana saneha tha yahan aa kar bhi wahshat ho rahi hai zamistan hai teri yaadon ka mausam bahut masrufiyat hum ko rahi hai lapete uzr mein apne mah-o-sal gae mausam ki chahat so rahi hai tere gham se ki hai ab yun gurezan hamari waqafiyyat to rahi hai jahan milon nahin koi padosi khizan kyun kisht-e-lala bo rahi hai sar-e-ab-e-rawan bad-ehtiyati dhule dhabbon ko phir se dho rahi hai akele the to ji lagta nahin tha magar ab sham ruswa ho rahi hai hila kar shor-e-girya se zamin ko pas-e-diwar khilqat so rahi hai badal kar rang-e-rukh 'shahin' apna ye shab be-maya kitni ho rahi hai