nazar to aaya magar ja-ba-ja nahin aaya

nazar to aaya magar ja-ba-ja nahin aaya
zamin pe aadmi jaisa khuda nahin aaya

bahaw laya hai us ko kinare ki jaanib
wo shakhs meri taraf tairta nahin aaya

ek aur bar bichhad kar na dekh len donon
ye zakhm ab bhi hamein ek sa nahin aaya

hazar koshishen kar lin zamane bhar ne magar
meri nazar se use dekhna nahin aaya

hamara haq hi nahin hai ki ab duhai den
gae huon ko agar rokna nahin aaya

barabari ka tasawwur nahin hamari taraf
hamare jaisa koi dusra nahin aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close