usi ke hath mein sara jahan hai zamin jis ki hai jis ka aasman hai gharibi bhuk bimari sharafat tumhaari aur hamari dastan hai tumhein tark-e-talluq se mila kya zara socho to ye kis ka ziyan hai azal se main usi ka ho gaya hun ki jis ke hath mein sara jahan hai ise chhuna nahin aasan itna bulandi par mera hindostan hai bahut si uljhanen hain phir bhi 'nashtar' hamara qafila ab bhi rawan hai