nazar udas nazare khamosh dil bezar junun-e-shauq ye manzil hai ya ki rahguzar na josh-e-atish-e-gul hai na khauf-e-barq-o-sharar nai nai si asiri nai nai si bahaar zara si baat bani ek fasana aakhir-e-kar meri nigah ki shokhi teri nazar ka khumar gham-e-hayat ke mare abhi to soe hain abhi na de ai nasim-e-sahar nawed-e-bahaar gham-e-jahan gham-e-justuju gham-e-jaanan kahan kahan na mila ek shikasta dil ko qarar teri hi yaad sahaara diye rahi warna kahan guzarte hain tanhaiyon mein lail-o-nahaar tere baghair andheron mein kho gae jalwe teri nazar se farozan the aarzu ke dayar na intizar-e-sahar ab hai aur na wada-e-sham ki rah gaya hai khalaon pe zindagi ka madar na puchh kaisa ye aalam hua hai wahshat mein gulon ki aanch se bujhne lage hain dil ke sharar