nazar uthi hai jidhar bhi udhar tamasha hai bashar ke waste jaise bashar tamasha hai zamin thaharti nahin apne panw ke niche padaw apna hai jis mein wo ghar tamasha hai yahan qayam karega na mustaqil koi zara si der rukega agar tamasha hai figar ho ke bhi rakkhega aabru-e-numu nigah-e-zar mein jo dast-e-hunar tamasha hai ai mausamon ke khuda bhed ye khule aakhir nigah-e-shakh mein kaise shajar tamasha hai na baal-o-par hain mayassar na izn-e-goyai to is ke mani hain apni sahar tamasha hai mila 'nisar-turabi' sara-e-hairat se wo aaina jise apni nazar tamasha hai