nazar utthi jidhar teri udhar hi main ne jaan rakh di magar hairan hun main khud bhi mata-e-jaan kahan rakh di jise dena tha de dala nahin dil koi aisi shai idhar rakh di udhar rakh di yahan rakh di wahan rakh di tujhe aawaz deta hun main jab tanhai pata hun nihan-khane mein dil ke ek nai tarz-e-fughan rakh di bahut chaha ki haal-e-dil kabhi koi na sun pae magar kambakht aankhon ne khamoshi mein zaban rakh di anasir mein bada haijaan tha tufan sa barpa tha bina duniya ki aise mein kisi ne na-gahan rakh di chamak in motiyon ki aur bhi do-chand honi thi khud apne fan pe main ne hi nigah-e-naqidan rakh di inayat dil ki hai ishq-e-haqiqi ho majazi ho yahi ek baat hai jo dastan-dar-dastan rakh di mita di apni hasti phir bhi duniya kuchh na de pai jabin mujh ko kahan rakhni thi aur main ne kahan rakh di chalae jate tum bhi tir na-hanjar duniya par magar 'rizwan' tum ne bhi to aakhir mein kaman rakh di