markaz se kahin dur kisi rahguzar mein

markaz se kahin dur kisi rahguzar mein
paoge jo milta nahin bhule se bhi ghar mein

wo ramz talab jis ki hai mehrab-e-haram mein
dil mein hai to kya dhundhiye diwar mein dar mein

wo baat purani hui kab ke hain wo qisse
rahta tha shab-o-roz jo sauda koi sar mein

kya shorish-e-dauran ke muqabil nahin rahte
darte nahin maujon se jo palte hain bhanwar hain

dam lene ko thahre hain to kya hausla chhuta
baqi hai abhi kawish-e-parwaz to par mein

ab zad-e-safar kya hai ba-juz aabla-pai
manzil to khuda jaane magar hum hain safar mein

hasrat koi baqi nahin tute hue dil mein
rahta hai kahin koi bhi viran khandar mein

tab waqt koi aur tha shamen thin sahar-gun
ab shab mein koi lutf hai 'rizwan' na sahar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close