nazdikiyon mein dur ka manzar talash kar jo hath mein nahin hai wo patthar talash kar suraj ke ird-gird bhatakne se faeda dariya hua hai gum to samundar talash kar tarikh mein mahl bhi hai hakim bhi takht bhi gumnam jo hue hain wo lashkar talash kar rahta nahin hai kuchh bhi yahan ek sa sada darwaza ghar ka khol ke phir ghar talash kar koshish bhi kar umid bhi rakh rasta bhi chun phir is ke baad thoda muqaddar talash kar