subh ka jharna hamesha hansne wali aurten jhutpute ki naddiyan khamosh gahri aurten moatadil kar deti hain ye sard mausam ka mizaj barf ke tilon pe chadhti dhup jaisi aurten sabz naranji sunahri khatti mithi ladkiyan bhaari jismon wali tapke aam jaisi aurten sadkon bazaron makanon daftaron mein raat din lal nili sabz nili jalti bujhti aurten shahr mein ek bagh hai aur bagh mein talab hai tairti hain is mein saton rang wali aurten saikdon aisi dukanen hain jahan mil jaengi dhat ki patthar ki shishe ki rabad ki aurten munjamid hain barf mein kuchh aag ke paikar abhi maqbaron ki chadaren hain phul jaisi aurten un ke andar pak raha hai waqt ka aatish-fishan jin pahadon ko dhake hain barf jaisi aurten aansuon ki tarah tare gir rahe hain arsh se ro rahi hain aasmanon ki akeli aurten ghaur se suraj nikalte waqt dekho aasman chumti hain kis ka matha ujli lambi aurten sabz sone ke pahadon par qatar-andar-qatar sar se sar jode khadi hain lambi sidhi aurten waqai donon bahut mazlum hain naqqad aur man kahe jaane ki hasrat mein sulagti aurten