nazm-e-gulshan mein ek andaz naya rakhte hain

nazm-e-gulshan mein ek andaz naya rakhte hain
yani hum phulon ko kanton se mila rakhte hain

aag lag jae na shishe ke mahal mein yaro
hum sar-e-sham charaghon ko bujha rakhte hain

koi tohfa liye ahbab na ghar tak pahunche
kyunki hum kandhe pe ghurbat ki rida rakhte hain

fath-o-nusrat unhin logon ke muqaddar mein hai
sath jo madar-e-mushfiq ki dua rakhte hain

roz bahta hai yahan khun ka dariya 'shamsi'
hum darinde to nahin khauf-e-khuda rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close