nazm likhne ko istiare bahut hain samajhdar ko ishaare bahut gahre pani mein khud-kushi kaisi dubne ko yahan kinare bahut phul jugnu saba dhanak titli aaine par the nazare bahut thahariye aap chal diye hain kahan hain sawal aur bhi hamare bahut haar jae na khel khel mein chand wo akela hai aur sitare bahut koi sunta na tha pas-e-diwar jab ki us par sab pukare bahut kaun jita bala se kya malum hum to khele bina bhi haare bahut kaise kah dun ki dil ki baaton mein faede kam rahe khasare bahut zinda dargor ho gae khud mein hum the sachchaiyon ke mare bahut