naznin jin ke kuchh niyaz nahin in hasinon se dil ko saz nahin ghair ka bhed kyun na khul jae aap ke dil ka to wo raaz nahin ek teri zat ke siwa zahid koi duniya mein pak-baz nahin is mein pata hun kuchh teri khubi mujh ko be-wajh dil pe naz nahin jitne hain ahl-e-dard hain hamdard dil wo patthar hai jo gudaz nahin kah rahi hai ye sadgi ki ada nek-o-bad mein kuchh imtiyaz nahin jubba-sai buton ke dar ki 'hafiz' zahid-e-khushk ki namaz nahin