patthar se na maro mujhe diwana samajh kar aaya hun idhar kucha-e-jaanana samajh kar kahte hain ye rone se lagi dil ki bujhegi samjhate hain apna mujhe parwana samajh kar main wo hun ki seri mujhe hoti nahin mai se dena mere saqi mujhe paimana samajh kar nakhwat se jo ek baat na sunte the hamari khud chhed rahe hain hamein diwana samajh kar hum un ke hain dil un ka hai jaan un ki hai lekin phir munh ko chhupate hain wo begana samajh kar rakkha na kahin ka hamein barbaadi-e-dil ne arman thaharte nahin virana samajh kar dekh aap se bahar na ho mansur ki surat karna hai to kar nara-e-mastana samajh kar hum aur hi kuchh dhundte phirte hain buton mein but-khane mein jate nahin but-khana samajh kar khuban se pate ya na pate wasl ka sauda dil pahle hi le lete hain baiana samajh kar saqi ki jo aankhon ko hui bazm mein gardish hum laut gae gardish-e-paimana samajh kar kah jate 'hafiz' un ko ho tum josh mein kya kuchh wo tarah diye jate hain diwana samajh kar