nazr-e-tauba hum karenge mai-parasti ek din

nazr-e-tauba hum karenge mai-parasti ek din
dhundhti rah jaegi ye bazm-e-masti ek din

gham na kar khushiyan na aaengi to gham aa jaenge
bas hi jaegi kisi se dil ki basti ek din

yun guzari hum ne to apni do-roza zindagi
mai-parasti ek din ki faqa-masti ek din

husn ki ye garm-bazari rahegi ta-ba-kai
dekhna ho jaengi ye jins sasti ek din

apni nadani ye nazan hain bahut ahl-e-khirad
un ko le dubegi un ki khud-parasti ek din

hai jabhi se be-khudi badmast hun sarshaar hun
un ke hathon se piya tha jam-e-masti ek din

thokaren khata rahega tod kar baithega panw
khatm ho jaegi teri sair-e-hasti ek din

bach ke jaengi kahan hasti shikast-o-rekht se
sar-bulandi ke muqaddar mein hai pasti ek din

dekh zalim ki hua karti nahin rassi daraaz
aasman rah jaegi ye chira-dasti ek din

mitte mitte saf mit jaenge ye naqsh-o-nigar
khud ayan ho kar rahega raaz-e-hasti ek din

tutne wala hai nata us se tutega zarur
chhutne wali hai 'khushtar' bazm-e-hasti ek din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close