kabhi hasin koi hadisa hua hi nahin tamam umr kati wo mera hua hi nahin sukun kya hai khushi kya hai chain kya shai hai main kya bataun mujhe tajraba hua hi nahin jise yaqin tha wo aasman ko chhu aaya jise ghurur tha wo to bada hua hi nahin na jaane kaun si us mein kami rahi hogi koi bhi shakhs kabhi dewta hua hi nahin kaha tha main ne ki ek roz aap badlenge ye aur baat ki mera kaha hua hi nahin