nazren haTin zara si ki sohbat bigaD gai

nazren hatin zara si ki sohbat bigad gai
rah kar kabutaron mein meri chhat bigad gai

ek roz us ne shauq mein suti pahan liya
resham ki to bazar mein qimat bigad gai

hum ne hi to har bar chune aise hukmaran
kis munh se kahen hum ki siyasat bigad gai

ek takht ek taj wa das-bis ashrafiyan
itne mein hi huzur ki niyyat bigad gai

itne bade hain ghagh siyasat ke surma
un ko sudhaarne mein adalat bigad gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close