main sach ko chhupane ka hunar sikh raha hun kartab zara mushkil hai magar sikh raha hun raftar-e-rawani mein kabhi panw na roke ab kaise nibhani hai thahar sikh raha hun rishta simat rahe hain badan phail raha hai dehat se dilli ka safar sikh raha hun main aastin se un ko to be-ghar na kar saka kaise utarna hai zahar sikh raha hun palkon ka bandh tut ke sailab na kar de kis tarah katte hain nahar sikh raha hun us ne dikhai aankh to main ne di galiyan kuchh roz se main taur-e-shahar sikh raha hun urdu zaban bhi ghar ki zaban hi to hai huzur itna ajib kya hai agar sikh raha hun