nazren milin charagh jale raushni hui lau de uthi phir apni tabiat bujhi hui khun-e-jigar se nikhre khad-o-khal-e-arzu dil ke lahu se shakh-e-tamanna hari hui ab subh-e-nau-bahaar ki kya aarzu karen ek shakh-e-ashiyan hai so wo bhi jali hui phir yaad aa gain shab-e-hijran ki talkhiyan dil ko kabhi khushi jo ghadi-do-ghadi hui bhadka diya use tere do din ke pyar ne ek umr se jo aag thi dil mein dabi hui dil hi to ek dair-o-haram ka charagh tha dil bujh gaya to phir na kahin raushni hui duniya ba-juz tilism-e-nazar aur kuchh nahin khud ko diye fareb agar aagahi hui wo chand-raat tera bichhadna nazar mein hai is ghar mein tere baad kahan raushni hui is khud-fareb dil ne wo ruswa kiya hamein hum apne ho sake na teri bandagi hui aabaad jis se thin meri tanhaiyan 'kalim' nazron mein hai wo mahfil-e-yaran saji hui