nazron ki zid se yun to main ghafil nahin raha pahlu mein ai 'mushir' magar dil nahin raha ai dil tasawwuraat ka hasil nahin raha koi meri nazar ke muqabil nahin raha maujon pe e'timad na kyun kar kare koi sahil to e'tibar ke qabil nahin raha aadab-e-bazm-e-naz pe ai dil nazar to hai mana ki dard zabt ke qabil nahin raha wo chashm-e-ishwa-kar hai aamada-e-karam ab dard e'tibar ke qabil nahin raha jalwon ka ehtiram nigahon mein hai 'mushir' main apne farz se kabhi ghafil nahin raha