nazzara-e-nigah ka unwan badal gaya wo kya gae ki rang-e-gulistan badal gaya josh-e-junun-e-ishq ka saman badal gaya daman pe hath tha ki gareban badal gaya mahsus kar raha hun har insan ko ajnabi wo kya badal gae ki har insan badal gaya guzra har inqalab se daur-e-junun magar daman badal gaya ki gareban badal gaya wahshat-nawaz ab wo nazare nahin rahe nazren badal gain ki bayaban badal gaya is chashm-e-iltifat ka aalam na puchhiye aksar nizam-e-gardish-e-dauran badal gaya kya jaane 'saib' aaj ye dauran-e-arz-e-shauq kyun dafatan wo chehra-e-khandan badal gaya