wo parda zinat-e-dar ke siwa kuchh aur nahin hamare husn-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin suragh-e-kahkashan ahl-e-dil ko mil hi gaya tumhaari rahguzar ke siwa kuchh aur nahin na jaane kaun sa ifa-e-ahd ka din ho tumhein to sham-o-sahar ke siwa kuchh aur nahin muraden ishq mein sab ko milen magar mujh ko nasib dard-e-jigar ke siwa kuchh aur nahin ye kis tilism mein mujh ko hayat le aai jahan fareb-e-nazar ke siwa kuchh aur nahin na puchhiye meri nakaami-e-manazil-e-shauq husul-e-gard-e-safar ke siwa kuchh aur nahin wo na-murad mohabbat hun jis ke daman mein sarishk-e-dida-e-tar ke siwa kuchh aur nahin hayat-e-ishq ki rudad kya kahun ai 'saif' azab-e-sham-o-sahar ke siwa kuchh aur nahin