nazzara-e-paiham ka sila mere liye hai har samt wo rukh jalwa-numa mere liye hai us chehra-e-anwar ki ziya mere liye hai wo zulf-e-siyah tab-e-dota mere liye hai zinhaar agar ahl-e-hawas tujh pe fida hun ye martaba-e-sadq-o-safa mere liye hai ban kar main razakar muhayya-e-fana hun aawaza-e-haq bang-e-dara mere liye hai khush-nudi-e-fujjar ke pairaw hain yazidi taqlid-e-shah-e-karb-o-bala mere liye hai mahrum hun majbur hun be-tab-o-tawan hun makhsus tere gham ka maza mere liye hai sarmaya-e-rahat hai fana ki mujhe talkhi is zahr mein saman-e-baqa mere liye hai jannat ki hawas ho to main kafir ki pareshan us shokh ki khushbu-e-qaba mere liye hai pahle bhi kuchh ummid na thi chaaragaron ko aur ab to dawa hai na dua mere liye hai mar jaunga mai-khane se nikla jo kabhi main nazzara-e-mai ruh-faza mere liye hai tashkhis-e-tabiban pe hansi aati hai 'hasrat' ye dard-e-jigar hai ki dawa mere liye hai