na surat kahin shadmani ki dekhi bahut sair duniya-e-fani ki dekhi meri chashm-e-khun-bar mein khub rah kar bahaar aap ne gul-fishani ki dekhi tamanna ne us ru-e-zeba ko dekha ki taswir husn-e-jawani ki dekhi ajab shauq se dast-e-saqi mein hum ne surahi mai-e-arghawani ki dekhi zahe rob-e-husn un ke dar par kisi ne zarurat na kuchh pasbani ki dekhi na tum sa khush-akhlaq paya na hum ne kahin shan ye dil-sitani ki dekhi mujhe kar ke mayus bole wo 'hasrat' masarrat gham-e-jawedani ki dekhi