nazzara jo hota hai lab-e-baam tumhaara duniya mein uchhalta hai bahut nam tumhaara darban hai na hai ghair-e-bad-anjam tumhaara kaam aaega aakhir yahi nakaam tumhaara dushnam suno de ke dil ai husn-paraston ye kaam tumhaara hai wo inam tumhaara aaghaz-e-mohabbat hai ho khush hazrat-e-dil kya achchha nazar aata nahin anjam tumhaara 'ahsan' ki tabiat se abhi tum nahin waqif hai dil se dua-go sahar o sham tumhaara