nek-o-bad ishq mein jo hai meri taqdir mein hai aap wo kijiye jo aap ki tadbir mein hai wasl kahte hain ise rabt ise kahte hain dekh lo tir jigar mein hai jigar tir mein hai shor-e-mahshar ki to ek dhum macha rakkhi hai shor ye hai jo mere baalon ki zanjir mein hai khul gaya aaj mujhe wada-faramoshi se ki tera wasl kisi aur ki taqdir mein hai wo mera haal jo puchhen to ye kahna qasid abhi jita hai magar marne ki tadbir mein hai koi kuchh jurm kare nam wo mera lenge ek zamane ki burai meri taqdir mein hai wasf kuchh us ka bayan ho nahin sakta 'mahmud' lutf jo dagh ki taqrir mein tahrir mein hai