wo bhi kya din the ki ulfat ka sabaq yaad na tha dard hamdard na tha gham mera ham-zad na tha ghair par hi tujhe manzur thi nawak-fagani kya saza-war-e-hadaf ye dil-e-nashad na tha tujh ko lazim tha ayaadat mein dikhana aankhen aise bimar ko jo qabil-e-fariyaad na tha jab pasand aa gaya un ko to main qimat kya lun main samajh lunga ki mera dil-e-nashad na tha bol uthe aaj wo khud apni zaban se 'mahmud' sab mein ek tu hi faqat shaki-e-bedad na tha