nemul-badal nahin tere zinda wajud ka diwar par lagi teri taswir kya karen tere baghair chain na aae kisi tarah tere hi dar ke ho rahe dil-gir kya karen har ek rabt aise talab ka hua asir rukna na chaho tum tumhein zanjir kya karen qadmon ko bandh deti hai yun rahguzar teri katta nahin safar tere rahgir kya karen muddat se us ke shahr mein 'amir' nahin gae is ke siwa bhala koi tadbir kya karen