nibhana ho wada to aisa karen ki wade se pahle irada karen har ek bar apni haden aank kar har ek baat had se ziyaada karen talatum ki dhun jin ka sangit hai wo tufan ke hi git gaya karen adhura rahega ye rishta agar hum ek dusre ko na pura karen ye pani ka hai farz har haal mein so aansu bhi nikle to sabza karen marasim ke dhagon ki tasir hai ki suljhaun jitne ye uljha karen rahen dil mein kuchh barahna hasraten na aankhon ki khidki se jhanka karen