nibhao ab use jo waza bhi bana li hai wagarna dahr to ahl-e-wafa se khali hai harim-e-dil mein teri aarzu ne raushan ki wo aag jis ne shab-e-zindagi ujali hai teri nigah-e-karam hai wagarna ai gham-e-dost zamana kya tere shaidaiyon se khali hai sitam hai meri taraf pyar se nazar na kare wo but ki jis mein mere fan ne jaan dali hai baja ki husn ka ehsas hai fareb-e-nazar magar wo naqsh jo dil mein hai kab khayali hai ufuq se gard chhate to khabar mile shayad sahar tulu hui hai ki hone wali hai ab ahl-e-bazm gham-e-tirgi karen to karen hamare pas to jo shama thi jalali hai hawa ke dosh pe udti hui khabar to suno hawa ki baat bahut dur jaane wali hai