nigah aks ke har zawiye mein chhoD aaya

nigah 'aks ke har zawiye mein chhod aaya
kisi ko khoya hua aaine mein chhod aaya

mera sukun-e-haqiqi safar mein muzmar tha
main apne ghar ko kahan raste mein chhod aaya

meri nigah mein tum jis ko kar rahe ho talash
use to kab ka kisi hadse mein chhod aaya

jo sari raat mere aansuon mein raushan tha
us intizar ko bujhte diye mein chhod aaya

ye kaun puchhe samundar se ja ke sahil par
musafiron ko kahan raste mein chhod aaya

kitab-e-zist ka 'unwan kya rakhun 'nashir'
main us ki yaad ko har hashiye mein chhod aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close