ye socha hi na tha hum ne ki yun qadr-e-hunar hogi hamare ghar ki pahre-dar taftishi khabar hogi zamin bhi tang hoti ja rahi hai udne walon par bhala kya aur is se badh ke tauhin-e-bashar hogi nae manzar nai khushiyon ka muzhda le ke ubhrenge chale aao nae andaz se zauq-e-nazar hogi kabhi socha na tha chup-chap jhonke yun bhi guzrenge na kaliyon ko khabar hogi na phulon ko khabar hogi bhala shab ke musafir ka bhi koi sath deta hai ab aise mausamon ke sath kya apni basar hogi hamein in barishon se koi samjhauta to karna hai ye thahraw raha to apni manzil kaise sar hogi hawaen khushbuon ka sath ab deti nahin 'nashir' hamari mausamon ke sath phir kyunkar guzar hogi