nigah-e-awwalin ka hai taqaza dekhte rahna ki jis ko dekhna us ko hamesha dekhte rahna na mujh ko nind aati hai na dil se baat jati hai ye kis ne kah diya mujh se ki rasta dekhte rahna abhi achchhe nahin lagte junun ke pech-o-kham us ko kabhi is rah se guzregi ye duniya dekhte rahna diye ki lau na ban jae tanab-e-sarsari us ki main dariya ki taraf jata hun khema dekhte rahna koi chehra hi mumkin hai tumhaare ji ko lag jae tamasha dekhne walo tamasha dekhte rahna ki ab to dekhne mein bhi hain kuchh mahwiyaten aisi kahin patthar na kar dale ye mera dekhte rahna sarishk-e-khun kabhi mizhgan talak aaya nahin phir bhi kinare aa lage shayad ye dariya dekhte rahna nigah-e-sarsari 'tabish' muhit-e-husn kya hogi jahan tak dekhne ka ho taqaza dekhte rahna