tum se kuchh kahne ko tha bhul gaya hae kya baat thi kya bhul gaya bholi bholi jo wo surat dekhi shikwa-e-jaur-o-jafa bhul gaya dil mein baitha hai ye khauf us but ka hath utthe ki dua bhul gaya khush hun is wada-faramoshi se us ne hans kar to kaha bhul gaya haal-e-dil sunte hi kis lutf se hae kuchh kaha kuchh jo raha bhul gaya wan kis ummid pe phir jae koi ai dil us baat ko kya bhul gaya hosh mein aa ke suna kuchh qasid yaad kya hai tujhe kya bhul gaya ahd kya tha mujhe kuchh yaad nahin yahi gar bhul gaya bhul gaya main idhar bhul gaya ranj-e-firaq wo udhar uzr-e-jafa bhul gaya yaad mein ek sanam ki naseh main to sab kuchh ba-khuda bhul gaya khair mujh par to jo guzri guzri shukr wo tarz-e-wafa bhul gaya yaad us ki hai meri zist 'nizam' maut aai jo zara bhul gaya