nigah-e-baghban kuchh mehrban malum hoti hai zamin par aaj shakh-e-ashiyan malum hoti hai bulaya ja raha hai jaanib-e-dar-o-rasan hum ko muqaddar mein hayat-e-jawidan malum hoti hai nigahon mein hain kis ke aariz-e-gul-rang ke jalwe ki duniya gulistan-dar-gulistan malum hoti hai meri kashti ko shikwa bahr-e-be-payan ki tangi ka tujhe ek aabju bhi be-karan malum hoti hai pahunch kar aasman par bhi to dekho ai zamin walo wahan se ye zamin bhi aasman malum hoti hai