shab zara der se guzregi na ghabra ai dil subh khud hogi numudar thahar ja ai dil kho gai gesu-e-jaanan ki ghani chhanw kahan har taraf dhup ka tapta hua sahra ai dil kucha-e-yar mein aae the kin ummidon se lut gai aa ke yahan shauq ki duniya ai dil kaisi shorish si bapa hai kabhi chal kar dekhen qatl-gahon mein hai ye kaisa tamasha ai dil mausam-e-gul hai ye kaisa ki chaman hairan hai har kali phul ka dil jaise ki mera ai dil dushman-e-jaan hain sabhi sare ke sare qatil tu bhi is bhid mein kuchh der thahar ja ai dil