nigah-e-baghban kya kah gai gulha-e-khandan se ki uttha karwan-e-rang-o-bu sehn-e-gulistan se madad ai dida-e-bina madad ai tab-e-nazzara tajalli muskuraati hai naqab-e-ru-e-jaanan se nasim-e-subh ke jhonkon se kya khatka bhala us ko meri sham-e-tamanna wo hai jo ladti hai tufan se maaz-allah sahra ki shab-e-tarik-o-tufani musafir khud na jal jae charagh-e-zer-e-daman se laraz uthta hun bedari mein yun takhil-e-ishrat par ki jaise chaunk uthta ho koi khwab-e-pareshan se junun ki tarbiyat kar 'ashk' ye nang-e-mohabbat hai kisi ka raaz ruswa ho tere chaak-e-gareban se