tawana hun dil-e-ranjur ki saugand kyon khaun main jab mukhtar hun majbur ki saugand kyon khaun mujhe arsh-e-barin ke jalwa-e-daim se nisbat hai koi waiz hun main bhi hur ki saugand kyon khaun mera tur-e-tajalli raat din hai mere pahlu mein nahin jab aag lena tur ki saugand kyon khaun mera har na-chakida ashk ka qatra hai be-sahil main tufan-e-bala tannur ki saugand kyon khaun haqiqat mein meri khamoshiyan parda hain mahshar ka hun khurshid-e-qayamat sur ki saugand kyon khaun anal-haq ki bajae main alal-haq ka hun aawaza padi hai kya mujhe mansur ki saugand kyon khaun kulah-e-faqr jab main ne azal se odh rakkhi hai 'amin' tu hi bata faghfur ki saugand kyon khaun