nigah-e-faqr hi shan-e-sikandari jaane wahi hai shah jo raaz-e-qalandari jaane hawa bikherti mujh ko hai gard ki surat jahan mein kaun hai jo meri be-ghari jaane bas ek tere siwa be-khabar nahin koi hamara haal to raste ki kankari jaane teri adaon ki pahchan khub hai mujh ko tere karam ki koi kya sitamgari jaane meri nigah mein kaun-o-makan ki basti hai zamana kya mera tarz-e-qalandari jaane tu arsh-o-farsh pe aankhen tikae rahta hai kahan se teri tarah koi mukhbiri jaane