nigah-e-faqr mein shan-e-sikandari kya hai khiraj ki jo gada ho wo qaisari kya hai buton se tujh ko umiden khuda se naumidi mujhe bata to sahi aur kafiri kya hai falak ne un ko ata ki hai khwajgi ki jinhen khabar nahin rawish-e-banda-parwari kya hai faqat nigah se hota hai faisla dil ka na ho nigah mein shokhi to dilbari kya hai isi khata se itab-e-muluk hai mujh par ki jaanta hun maal-e-sikandari kya hai kise nahin hai tamanna-e-sarwari lekin khudi ki maut ho jis mein wo sarwari kya hai khush aa gai hai jahan ko qalandari meri wagarna sher mera kya hai shairi kya hai