nigah-e-husn-e-mujassam ada ko chhute hi ganwae hosh bhi us dilruba ko chhute hi tamam phul mahakne lage hain khil khil kar chaman mein shokhi-e-baad-e-saba ko chhute hi masham-e-jaan mein ajab hai surur ka aalam tasawwuraat mein zulf-e-dota ko chhute hi nigah-e-shauq ki sab ungliyan sulag utthin gulab jism ki rangin qaba ko chhute hi nazar ko hech nazar aae sab hasin manzar bas ek shua-e-rukh-e-jaan-faza ko chhute hi jo aansuon se hui ba-wazu akele mein dar-e-qubul khula us dua ko chhute hi nahain shiddat-e-ehsas ke ujale mein samaaten mere soz-e-nawa ko chhute hi hisar-e-zabt jo tuta to aankh bhar aai dayar-e-ghair mein ek aashna ko chhute hi lahu mein dub ke kante bane charagh 'zafar' rah-e-wafa mein hum aashufta-pa ko chhute hi