nigah-e-lutf mat uth khugar-e-alam rahne de hamein nakaam rahna hai hamein nakaam rahne de kisi masum par be-dad ka ilzam kya mani ye wahshat-khez baaten ishq-e-bad-anjam rahne de abhi rahne de dil mein shauq-e-shorida ke hangame abhi sar mein mohabbat ka junun-e-kham rahne de abhi rahne de kuchh din lutf-e-naghma masti-e-sahba abhi ye saz rahne de abhi ye jam rahne de kahan tak husn bhi aakhir kare pas-e-rawa-dari agar ye ishq khud hi farq-e-khas-o-am rahne de ba-in rindi 'majaz' ek shaer-e-mazdur-o-dahqan hai agar shahron mein wo bad-nam hai bad-nam rahne de