nigah-e-naz ka hasil hai e'tibar mujhe hawa-e-shauq zara aur bhi nikhaar mujhe kabhi zaban na khuli arz-e-muddaa ke liye kiya hai pas-e-adab ne bhi sharmsar mujhe purane zakhm nae dagh sath sath rahe mili to kaisi mili dawat-e-bahaar mujhe phir ahl-e-hosh ke narghe mein aa gaya hun main khuda ke waste ek bar phir pukar mujhe bikhar rahi hai mohabbat ki raushni har su uda raha hai koi surat-e-ghubar mujhe na jaane kaun sa hai shoabada taaqub mein ki aaj us ne kaha hai wafa shiar mujhe jo aap aaen to ye faisla bhi ho jae dikhai deta hai mausam to khush-gawar mujhe hazar bar sukun-e-hayat ki had mein hazar bar kiya dil ne be-qarar mujhe mere shabab meri zindagi mere mazi zaban-e-haal se ek bar phir pukar mujhe wo baat jis pe madar-e-wafa hai 'yazdani' wo baat kahna padegi huzur-e-yar mujhe