nigah-e-naz ko khud-bin bana ke aaya hun khud apni rah mein kante bichha ke aaya hun jahan pe hota hai lutf-o-karam se dil ka shikar muqaddar apna wahan aazma ke aaya hun sitam ki puri kahani firaq ka qissa lab-e-khamosh se un ko suna ke aaya hun na aas tod ki zalim main tere qadmon mein tamam daulat-e-duniya luta ke aaya hun jahan pe lutti hai duniya-e-arzu 'sahir' wahan main jaan ki bazi laga ke aaya hun